------------------------------------------------
Sagar ki lehron pe chalne waali ek kasthi thi
Kabhi na rukhne waali uski masti thi
Har Lamha yeh jee bharkar jeeya karti thi
Yeh tufaan se bhi na dara karti thi
Tufaan aaye bhi bahot the
Par buland uske iraade the
Aankhon mein uske khwaab bhi bahot the
Khushiyaan felaane ki kiye usne waade the
Har kathnaayi ko paar karke jeeti yeh kasthi thi
Safar mein ismein alag hi duniya basi thi
Par yeh anth nahi , yeh shurwaat thi
Kyonki Manzil Zameen Nahi , Aasmaan thi .
-----------------------------------------------
- Anmol Sood.
Thursday, April 30, 2009
Subscribe to:
Posts (Atom)